Sunday, June 04, 2006

Apni dhun mein rehta hoon!

Apni Dhun mein rehta hoon.
Main bhi tere jaisa hoon.

Oh pichle baras ke saathi
Ab ke baras mein tanha hoon

Teri gali mein sara din
dukh ke kankar chunta hoon.

Mera diya jalaye kaun.
Mein sirf tera kamra hoon.

Apni laher hai apna rog
Dariya hoon aur pyasa hoon.

No comments: